Thursday, February 4, 2010

main or meri tanhai

Darpan mein khud ko dekh kar kaha,khushi sahi itni ki dard jaa chupa,Hum to aise na the,aye dil,kisse kahen humne kya kuch nahi saha.
Beeti baatein roz shaam yaad aati aur kya bus aanken nam ho jaatiFursat ke pal bhi ab chain nahi,bhujta diya ,mein us diye ki baati
Umra guzari intezaar mein,kyun chaman uzre bahar mein,Hamse kya khata ho gayi jo,saath chod chale is sansar mein.

Naam gum gaya haiShayad yeh chehra bhi badal gaya haiNa meri awaz rahiAur na pehchanYun hee akele bhatak rahi haiMeri ek addad zindgai hui veeranHaan yahi sach haiYahi to haiMere kuch beete lamhon aur kuch yaadon ki dastan
Kuch beete lamhon aur kuch yaadon ki dastanTumhari taalash mein main huinShayad tumhe bhi ho meri taalashDil ke koone mein hee sahiAks mera tere jeevan mein to haiIssi aas par naam tera zuban pe haiShayad tu bhi sun sake meri khamoshi ki zubanKuch beete lamho aur kuch yaadon ki dastan
Zindagi mein log aate hainHaath milate hain, gale milte hainDo kadam saath bhi chalte hainAur phir chale jaate hainChor jaate hain tanhai aur akelapanDil ke kono mein ek ajeeb sa khalipanYahi to hain Kuch beete lamho aur kuch yaadon ki dastan
Zindagi digar-e-naam hai akelapanApne sapno ko khud pura karne ka bhramAkelepan se ladte rehne kaKisi ka sahara na lekarKhud kuch kar dikhane ka yeh mannMaut se na dar karNa ghamo se pareshan ho karSab kuch sahte rehne kaChalte rehna muskuraate hueAashiyana banate hue un dard bhare armaano kaZindagi naam haiMaut ke hathon sab har kar bhi jeet jaane ka!Aisi hee to hai Kuch beete lamho aur kuch yaadon ki dastan

Posted by Picasa